Skip to main content

Kachha mango galka

Ingredients


Kachha mango 250gram
Gur ( jagry) 250 gram
Kalunji
Lal mirch powder
Namak
Oil
Sauf
Jeera
Meethi Dana
Heeng
Haldi

Procedure

Mango ka chhilka utarkar dho le aur chote chote tukde me Kat le. Ek kadai me oil Dale aur garam hone PR isme heeng aur haldi Dale achhe SE mix kare aur ab mango k tukde ko add kr k fry kr le.Ek taraf meethi dana,jeera,kalunji ko bhoon kr isko dardara koot le. Ab fry mango me Pisa kuta hua masala Mila de aur namak  aur Lal mirch powder add kr de. Achhe SE mix kare fr gur or jagrey Mila de 1cup Pani add kare aur thodi Det dhak kr paka le.




Comments

Popular posts from this blog

Aloo ka paratha

Ingredients 4 boil aloo 1 chopped pyaz 2hari mirch Barik kata hua hara dhania Namak Lal mirch powder Oil or Desi ghee Aata Procedure Sabse pahle aloo ko boil kr lenge. Jab Tak aloo boil honge ham aata laga lenge. Boil aloo ko chhilka utarkr mash kr le aur isme barik kata pyaz add kr de. Ab kata hara mirch,namak,hara dhania,lal mirch powder mix kr. Ab poori stuffing achhe SE mix kare jisse masale Sabi aloo me mix ho jaye.ab aate ko ek neebu k size me le le aur isko gahra krte hue stuffing bharne ki jagah bana le. Stuffing 1-2spoon bhar le ab isko band kre aur hatho ki madad SE roti ko thoda badha le fr belan ki madad SE halke hatho SE bel le. Ab garam tawa PR paratha ko Dale aur ghee or oil ki madad SE isko dono taraf SE paka le. In aloo k paratho PR aap butter laga k dahi ya chatni k sath kha skte hain. Dhanywad

Aloo Samosha with matar recipe

Ingredients: Aloo Matar Dhania powder Haldi powder Aamchur Jeera Hari mirch Hari dhania Garam masala Oil Procedure 2aloo ko boil kr le. Fir thanda hone k bad cheel kr chote chote tukde me tod le. Ek pan le usme oil Dale fir jeera Hari mirch n matar aur 5 min k liye paka le. Iske bad aloo mix kare aur galdi powder dhania powder garam masala aur aamchur powder Mila de aur namak swadanusar.filling samose k liye taiyar Hai. Samose k liye maida taiyar karege. Jisme maida me oil n namak Mila kr gungune pani SE aata taiyar kr le. Aata ko 15-20 min k liye rakh de. Ab aate SE we roti banane jitna aata nikal le aur use 5-6 inch k vyas me roti jaisa bale de. Roti ko do bhago me chaku ki madad SE Kat de aur jaha SE roti ko kata Hai waha SE modte hue shanku knaakar ka bana le aur jod PR pani SE chipka de fr upar SE aloo ki filling bhar de aur jagah ko bi thoda pane laga k chipka de. Baki sare samose aise hi bhar le. Ab ek kadhai me talne k liye oil garam kare aur sam

Matar Nutella ki sabhi

Ingridents Nutella 1cup Matar k Dane 2cup Oil Jeera Khada garam masala( tej patta,badi ilaichi,dal chini,Kali mirch,laung) Hing Pyaz 1 Tamatar 1 Lahsun 4-5 kali Hari mirch 2 Hara dhania Adarak ka dhed inch tukda Haldi powder Dhania powder Kitchen king masala Namak Procedure Ek bowl me pani garam karenge aur Nutella ko usme 5 min k liye bhigo de fr cold water SE achhi tarah dho kr saf kr le.ek pan me oil garam kare oil aur  Nutella ko light brown hone tak fry kr le. Ab nutella sabji banane ko taiyar Hai. Ab ham mixer me pyaz,tamatar,adrak ka tukda,Hari mirch,lahsun ki Kali ki dalkar paste bana lenge. Cooker ko gas PR rakh kr garam kare oil add kare have oil garam ho jaye isme jeera add kr de aur khada garam masala. In masalo ko 1 min k liye paka le ab masale ka paste add kr de air inko tab Tak byune jab Tak oil masalo SE alag na ho jaye masala bhunne k bad is dry masala add kare haldi powder dhania powder kitchen king masala aur namak aap k taste k according. 2