Skip to main content

Posts

Malai SE ghee

Ingredients Malai Procedure Malai ko ek bowl me nikalte rahe aur garmi k season me fridge me rakhe. Jab 12 SE 15 days ki Malai collect ho jaye to ye ghee banane ko taiyar Hai. Ab kadhai ko garam kare aur Malai ko Dale aur dheere dheere chalate rahe 15 -20 min me ghee Malai SE alag hone lagegi. Poora ghee Malai SE alag ho Jane SE isko chhani SE chhan le. 
Recent posts

About Us

Our purpose is to help people to make healthy food.healthy food is very important for life.these recipes are easy to make.Ingredients are easily available in your kitchen.hope you will cook healthy and tasty .it is an art to make good food.I hope you will get Ghar Jasia Swad.

Cucumber lemon juice

Ingredients Kheera 2 Lemon 1 Kali mirch Jeera bhuna  Sugar Salt Pudina 7-8 leaves 1 glass water Procedure Kheere ko chhel kr dho le aur chote chote tukde me Kat le. Ab ek mixure me kheera Dale ,kuti Hui Kali mirch,bhuna hua jeera,pudina ki leaves,sugar,salt aur half glass water add kre fr mixer me paste bana le. Ab isko chhani SE chhan le. Aur Pani add kare aur lemon juice n ice cube add kr de. Dhanyawad 

Kachha mango galka

Ingredients Kachha mango 250gram Gur ( jagry) 250 gram Kalunji Lal mirch powder Namak Oil Sauf Jeera Meethi Dana Heeng Haldi Procedure Mango ka chhilka utarkar dho le aur chote chote tukde me Kat le. Ek kadai me oil Dale aur garam hone PR isme heeng aur haldi Dale achhe SE mix kare aur ab mango k tukde ko add kr k fry kr le.Ek taraf meethi dana,jeera,kalunji ko bhoon kr isko dardara koot le. Ab fry mango me Pisa kuta hua masala Mila de aur namak  aur Lal mirch powder add kr de. Achhe SE mix kare fr gur or jagrey Mila de 1cup Pani add kare aur thodi Det dhak kr paka le.

Aloo ki pakodi

Ingredients Aloo 2 2spoon besan Namak Lal mirch powder Oil Procedure Aloo ko patli patli slices me Kat kr Pani me dal de. Ab ek bowl le isme aloo k slice Dale us PR besan namak n Lal mirch powder dalne kr achhe SE mix kare. Ab thoda Pani add kare itna ki besan aloo ki slice ko cover kr le. Ab ek kadhai me oil leak aur garam hone PR usme ek ek kr slices dal de aur light brown color aane Tak isko paka le. Aap ki aloo ki simple pakodi taiyar Hai.

Gobhi ka paratha

Ingredients 1 phool gobhi Hari mirch Lal mirch Namak Hara dhania Adarak dedh inch ka tukda Oil or ghee Aata Procedure Sabse pehle ham aata ko paratha k liye gooth kr rakh denge. Ab phool gobhi me phool wala part ham kaddu kas me grade(kisna)kr lenge. Ab isme kisa hua adrak,Hari mirch,Lal mirch powder,hara dhania aur namak add kr lenge.Ab neebu k size ka aata lekar uska peda banakar usme stuffing bharne ka space banakar stuffing bhar denge aur usko hath SE band kr k halke hatho SE belan ki madad SE bel lenge. Ab garam tawa PR oil ya Desi ghee ki madad SE paratha ko achhi tarah SE dono taraf SE paka le. Inhe aap chatni k sath kha skte hain. Dhanywad.